AADAT CHOOT GAYIMeri badtameezi jhelne ki aadat choot gyi,
Baar baar zaleel hokar , himmat ki jagah iss baar umeed toot gyi….
Waqt tha jab “be positive” khud ko keh k , khud ro liya krti thi,
Shayad apni nakami thi jisse awaz khud khudko band kr liya krti thi…
Maine wo khyaal chod Diya, k insaan mein insaaniyat baaki hai,
Ab mera aayna Mera dost, meri Kalam meri saki hai…
Mujhe farak nhi padta rishtedaaron ki awaazon se,
Suni hai bahaut main toh sannate ke raazon mein…
Choot gyi aadat, logon ko maaf krne ki bhi, kuch bhi kahe koi dil ab darta hi nhi….
Itni khari khoti hai iss shor mein k cheekhein dab jayein,
Behatar hai waqt katein, kisi ko kuch na sunayein…
Har koi uss k karam se Zinda hai,
Fir bhi Hafiz bnta insaan nasharminda hai….
Uff nhi krte log janab , jinhone zindagi kheli hai,
Doosron ko wo sunate hain jinhon sirf baazi ki Tarah kismat kheli hai…
____________________________________________
Want to try your hand at poetry? Email me at poeticiapoems@gmail.com
Featured image credits to CDD20 on Pixabay